To all students of ayurveda,
sorry lekin aap galat ho. Koi college, koi kitaab, koi proffessor aapko medicine ya koi bhi proffessional subject nahin padhata.
Aapney apney patient ko kitna suna hai and us se kitna seekha hai yeh socho.
Medical proffession mein patient, uska desh, kal, vaya, awastha aadi yeh apney mein kitaabein hain.
Proper history lo!
Present sharira prakruti hi nahin, uski vayanusaar sambhavit prakruti, janmanusaar prakruti, manas prakruti aadi ke vaishishthya ka samanvaya karo and fir aapko woh khud batayegaa ki aapko kya karna hai.
Vata pitta kapha ko --
Akeyle mat dekho
Sanyogaj aur sannipataja avastha mein manas doshon ke saath dekho
Prakuti ka vaishishthya dekho
Aur fir us aadhaar par us shareer ki metabolic kriyaon ka vishleshan karo
Aapko modern science ki bhasha mein ayurveda ka upchaar mil jayega, ya ayurveda ki bhasha mein modern science ka upchaar chahiye toh woh bhi mil jaayegaa.
Apney basics ko flow charts, algorthms ke aadhaar par draw karo -- kitaab band kar ke and forget ki charak, sushruta ya anya samhita ke kis shloka mein kya kaha hai.
Apney vivek ke saharey in chinhon ke madhyam se rog nidaan karo.
SORRY AGAR MAIN ZYADA UPADESH DE GAYA!
YOU CAN WRITE TO ME AT
PRAYUSHHOSPITALPVTLTD@GMAIL.COM
DRNITINCHAUBEWAIDHAN@GMAIL.COM
OR CALL ME AT 07828156829
OR GOOGLE HANG OUT FOR VIDEO CALLS AND CONSULTATION AT THE ABOVE GMAIL ID'S
FEEL FREE TO DISCUSS CASES AND SOLUTIONS.